aaj bahut dino baad me idhar subah subah kuchh man ki baat likhne aaya hu ,ishwar ki banai is duniya me ajeeb ajeeb bate dekhne ko milti hai jo insaan ki jindagi me ajeeb se morh me le jati hai aur jindagi ka rukh badal deti hai ,ishwar ki leela adbud hai ham use challenge nahi kar sakte par gila to swat nikal jati hai ki hai ishwar ye kiya kar diya ?
khubsurat hasti gati zindagi me khalal daal diya jis ki vajah se ghar pura pariwaar khila khila sa rahta tha isme ek thahraw sa aa gaya sabhi heran aur achambit hai aur ishwar ke insaaf ko kothu nazaro se nihar rahe hai ,ki ye kyo ye kyo ?
jiske muskarane se ghar pure pariwaar me ronak rahti thi wo sunsaan ho haya ,uski hasi se ghar me ghunj uthti thi wo ghar ab chupchap hai aur idhar udhar nihar raha hai jaise kisi ka besbri se intazaar ho ,ankhon se aasoo tham nahi rahe hai rah rah kar tej dhara ban kar nikal parte hai .kyo mail akhir kyo ?
aaj 62 din beet gaye hai malik ke us kruh faisale ko ,abhi uski umra hi kya thi .
wo ghar pariwaar ki ronak thi, wo ghar ki lakshami thi ,wo bacho ki maa aur ek dharampatni thi .ab ghar kaise chalega abhi to bahut karya karne hai ishwar sabko bal pradaan kare ki wo adhure rahe karyo ko pura kar sake .

No comments:
Post a Comment